Blog Me Backlink Kyun Jaruri Hai?

Blog Me Backlink Kyun Jaruri Hai? Aaj hume Facebook me ek blogger bhai jinka naam Kaushik Gope ji hai unhone mujhse ek interesting sawal pucha or maine bhi unhe interesting answer de diya..

Me Koushik bhai ko thanks kehna chahunge jinhone mujhe ek new post likhne ki liye inspire kiye. Or aaj me aapko backlink ke bare me wo sabhi information dena wala hu jo aapka janna bahut jaruri hai taki aap apne 100% dhayn blogging me lagao..

Bahut se log apne blog ki traffic improve karne ke liye backlink banate hai , par kya backlink banane se blog traffic improve hoti hai.. Kya aapko lagta hai ki backlink ki wajah se aapke blog ki traffic or search rank improve hogi ? Bahut se log kahenge ki haan blog ki traffic improve hoti hai. Lekin us HAAN kehne ke piche bhi bahut badi wajah hai jo aaj tak kisine bataya hi nahi.

Bas backlink banane ke piche bhagate raho, backlink buy karo or kuch log to backlink dene ke liye bhi paise lete hai, guest post ke paise lete hai.. Mujhe nahi lagta ki in sab chije karne se aapke blog ki traffic badhne wali hai.. na hi issay aapka koi fayda hoga, balki aapka time jarur waste ho jayega..

Sahi mayne me backlink aapke blog ko point karne ka kaam karti hai… Agar dekha jaye to backlink sirf or sirf aapke blog ko support karti hai.. Backlink ke bare me samajhne ke liye sabse pehle aap ye jaan lo ki backlink kaise banai jati hai..

Backlink kaise banai jati hai ?

1. Comment ke jariye apne blog url ko submit karna – Ye sabse common tarika hai backlink banane ka , jo sabhi bloggers karte hai.. Dusaro ke blog post par comment karne ke doran apne blog url ko add karke wo backlink banate hai. Lekin aise backlink ko search engine follow nahi karta hai. Isliye aise backlink ka SEO benefit nahi milta lekin aapne jis blog par comment ke jariye backlink banaya hai uske visitors aapke comment ke jariye aapke blog par aa sakte hai, jiske chances bahut kam hote hai.

Overall comment ke jariye backlink banane se blog traffic na ke barabar improve hoti hai. Mere is baat se bahut se log sehmat nahi honge , par yahi sach hai.

Aapne ek chij notice jarur ki hogi ki agar aap comment ke jariye backlink banate ho or apne comment me link add karte ho to approve nahi hota or agar aap apne website url ki jagah par post url dalte ho to bhi aapka comment approve nahi hota. Agar comment approve bhi ho jata hai to aapke comment me aapka url nahi hota.

Overall agar aap comment ke jariye apne blog post ka backlink banate ho to wo comment approve nahi hota.

2. Guest post ke jariye backlink banana – Backlink banane ka ye tarika sabse best hai, iske bare me hum isi post me detail se janenge.. Guest post ke jariye backlink banane ka matlab yahi hota hai ki aap kisi dusare ke blog par post likh kar submit karo or apne post ke end me apne blog ke bare me or apna blog link add karo. Or jab aapka post approve ho jata hai to wahi post dusare blog me show hone lagta hai or aapke diye gaye blog link bhi visible hote hai.

Guest post ke jariye backlink banane se seo benefits to hote hi hai sath me aapke blog ki traffic bhi improve hoti hai.

In dono tariko ke alawa bhi bahut se tarike hai jiske jariye aap backlink bana sakte ho , lekin ye dono tarike hi sabse jyada use kiya jate hai backlink banane ka liye. To friends ab aap itna to samajh hi gaye hoge ki agar aapko apne blog ka backlink banana hai to sabse best tarika hai guest post karna. Ab chaliye aapko batate hai ki Backlink kyun jaruri hai.

Backlink Kyun Jaruri Hai ? All about backlink and its fact in Hindi

Backlink kyu jaruri hai ye janne ke liye me aapko ek example ke jariye samjhata hu. Maan lijiye ki aap ek school ke student ho jaha par 10 teachers hai, un 10 teachers me se ek teacher aapko bahut like karti hai or aapke bare me hamesa school ke principle ko tarif karti hai..

Par school ke principal ko issay koi fark nahi padta, lekin agar school ke maximum teachers aapki tarif principle se kare to aap jarur aapke principle ki najar me aa jaoge.. Maan lijiye ki aapko 6 teachers like karne lage hai or aapke bare me hamesa principle ko batate hai ki aap ye ho aap wo , yani ki aapki tarif karte hai.. Issay hoga ye ki aap principle ke liye bhi ek good or perfact student ban jaoge or school ke sabhi activities me aapka sabse pehle naam liya jayega..

Agar isi situation ko oppositely liya jaye to hoga ye ki aap ek student ho or maximum teachers aapko dislike karte hai , jiski wajah se school ke principle bhi aapko dislike karne lagenge or aapka naam school ke kisi bhi activities me nahi liya jayega..

Ab aap itna to samajh hi gaye honge… Ab isi example me jo student hai usay aap apna blog samjho, teacher ko backlink or principle ko search engine (GOOGLE). Agar aapke blog ko kisi dusare blog se backlink milti hai to iska matlab ye hai ki dusara blog apako support kar raha hai, or yahi supporting backlink ko search engine count karti hai.

Jaisa ki maine example me aapko bataye ki good teacher aapki tarik karti hai par bad teachers aapko paresan karne ka kaam karegi, thik waise hi backlink hota hai.. Good backlink ke jariye aap search engine ki najro me aate ho or search engine aapke blog ko accha rank dilane ka kaam karti hai. Lekin bad backlink ki wajah se aapke blog ka search rank down hota hai or aapka blog search engine par accha perform nahi karta.

Overall backlink sirf aapke blog ko support karti hai search engine par accha parform karne ke liye. Lekin ye jitna simple dikhta hai utna hai nahi. Aap sochte honge ki isme kon si badi baat hai or backlink banane ke liye aap guest post karne lagoge, to kya guest post karne se hi aapke blog ka search rank or traffic improve ho jayega ? Chaliye iske bar me bhi aapko batate hai..

Guest post backlink banane se hota kya hai ?

Guest post ke jariye backlink banane hi sabse smart or effective tarika hai jissay aapke blog ki search ranking or traffic improve hone me help milti hai. Lekin kabhi aapne socha hai ki guest post karne ke doran aap post ke end me kon sa link add karte ho ? Haan aap apne blog home page ka link add karte ho.. Or aisa sabhi karte hai, kyunki agar aap guest post me apne kisi blog post ka link add karoge to wo guest post approve nahi hota ya fir approval ke chances kafi kam hote hai.

Maan lijiye ki aapne 1o website par 10 guest post kiya to aapko 10 backlink mile jo ki aapke blog home page ko point kar rahi hai. Yani ki wo sabhi 10 website aapke blog home page ko promote karne ka kaam karegi, or search engine aapke blog home page ko accha rank degi. Issay kya hoga ? issay hoga ye ki aapka blog url ko support milega jissay aapka blog search engine par accha rank karne lagegi..

Par mujhe ye samajh nahi aata ki aap apne blog home page ko accha rank karwa ke kya karoge, kyunki agar koi aapke blog ka naam likhkar google par search karta hai to wo top rank me hi show hoga na ki dusare ya tisare page pe.. Overall agar aapko backlink banana hai to aapko apne blog post ka backlink banana chahiye.

Taki aapka particular blog post search engine par accha rank kar sake. Lekin guest post ke jariye aap apne blog ke kisi particular post ka backlink nahi bana sakte.. Or agar aap aisa karoge to aapka guest post approval nahi mil payega..

Lekin iska bhi ek trick hai. ki aap continue kisi dusare blog par guest post karo , 2-4 guest post karne ke bad aapke or dusare blog ke bich ek bonding or accha support create hoga or jab aap us blog par apne blog post ka link dal kar guest post karoge to wo aapko approval de degi.. Ye bahut hi time taking work hai, jisay karne ke liye patience ki jarurat hogi.. or agar aap guest post me hi apne sara dhyan lagaoge to apne blog par kab post likhoge..

To friends ab aap itna to samajh hi gaye hoge ki guest post karne se hota kya hai , par aapke maan me ye sawal jarur aata hoga ki guest post karne se aakhir fayda kya hota hai ? To chaliye iske bare me bhi aapko bata dete hai.

Guest post karne ke fayde ?

Dekha jaye to guest post karna matlab apne blog ke liye backlink banana hota hai, yani ki dusare blog se hume support milta hai jo ki search engine ranking factor me helpful hota hai. Ye to sab jante hai ki backlink search rank improve karne ka kaam karti hai lekin kiska search rank improve karne ka kaam karegi ? Agar aapne guest post me apne blog post ka link add kiya hai to us post ka search rank improve hoga.

Guest post ke jariye aapko apne blog ka backlink bahut esaily mil jata hai lekin agar aap apne blog post ka backlink banana chahte ho to ye kaam thoda muskil rehega. Lekin iske bawajud bhi log guest post ke jariye apne blog ka backlink banate hai..

Aaiye isay ek example ke jariye samjhe – Aap shoutMeLoud.com ke admin Harsh Agrawal ji ko jante hi honge. Blogging learn karne ke liye unka blog world best hai, jab maine blogging ki suruwat ki thi to ShoutMeLoud se hi maine bahut kuch sikha , aaj shoutmeloud ko lakho log follow karte hai jiski wajah se aaj ye blog top Indian Blog me gini jati hai. Kya aapko pata hai ki ShoutMeLoud blog ka ek hindi blog bhi hai jo blogging se related jankari dena ka kaam karti hai, us blog ka naam hai ShoutMeHindi..

ShoutMeHindi ko popular hone me jyada samay nahi laga, kyunki ShoutMeLoud ne hi usay promote kiya hai. Yani ki ShoutMeLoud jo ki ek popular blog hai wo apne dusare blog ko promote kar raha hai jiski wajah se ShoutMeHindi raato raat popular ho gai.

Itna to aap samajh hi gaye hoge ki agar koi popular blog aapke blog ko promote karne ka kaam karti hai to aapka blog raato raat popular ho jayega. Or aisa ho sakta hai Guest Post Ke jariye.

Chaliye apako ek aur example ke jariye samjhate hai – ” Mera naam Ravi Saw hai, maine ye blog un Hindi blogger bahiyo ke liye banaye hai jo Blogging karna chahte hai. “ Ye mera simple sa introduction hai jisay maine khud kaha hai. Jo ki me blogging me new hu mujhe bahut kam log jante hai or sayad koi nahi janta hoga. Lekin agar koi popular vyakti mujhe introduce karta hai to mujhe log pehchanane lagenge or dhire dhire me popular ho jaunga..

Thik usi tarah Guest Post kaam karti hai, agar aap kisi popular blog par continue guest post karte ho to us blog par aane wale visitors bhi aapko pehchanane lagte hai or aapke blog par visit karte hai, jissay aapka blog bhi popular hone lagta hai or popular blog ki search engine ranking automatically improve ho hi jati hai.

Backlink sirf ek jariya hi jiski help se hum apne blog ko promote karte hai, lekin backlink ke bina bhi aap apne blog ko popular bana sakte ho or isliye ki aapko best or high quality post publish karna hoga.

मैं अकेला ही चला था जानिब-ए-मंज़िल मगर
लोग साथ आते गये और कारवां बनता गया
मजरूह सुलतानपुरी

मजरूह सुलतानपुरी Kya khub kaha hai, yahi fact hai … Agar aap regular blogging karte ho to aapke blog ke sath log judate jate hai or dhire dhire aapke blog follower bhi improve hone lagte hai.

CONCLUSION – Backlink Kyun Jaruri Hai

Guest post karne ka matlab hota hai dusare ke blog visitors ko apne blog ke bare me information dena. Lekin me aapse yahi kahunga ki aapko jo sahi lagta hai wahi kijiye.. Kyunki ek bar aapka blog popular ho gaya to aapko backlink ki chinta karne ki jarurat hi nahi kyunki dusare blog admin aapko khud-ba-khud apne blog post me aapke blog ka naam mention karne lagte hai.

Overall agar aapko apne blog ka backlink banana hai to aap un sabhi popular blog me guest post karo ya fir apne blog ko itna popular banao ki usay apne aap baclink mil jaye.

Friends agar aapko hamara aaj ka post accha laga to aap apna feedback hume comment ke jariye jarur bataye. Agar aap hamare blog par guest post karna chahte ho to hamare Guest Post Page par visit kare. HAPPY BLOGGING

Ravi Saw

रवि साव एक पेशेवर blogger हैं! वे एक इलेक्टिकल इंजिनियर थे पर blogging करने की रूचि ने उन्हें acchibaat.com बनाने कि प्रेरणा दी. इस वेबसाइट के जरिये वे रिश्तों कि जानकारी और बारीकियों के बारे में बताते हैं ताकि आपका रिश्ता जीवन भर खुशहाल रहे. साथ में रवि जी इस वेबसाइट पर टेक्निकल से संबंधित जानकारियां भी प्रकाशित करते हैं.

Leave a Reply

This Post Has 9 Comments

  1. Trigoware

    Ekdam sahi post likha h bhai ne. I think this is the no. 1 post for backlinks. Thanx for sharing such a informative article.

    1. Ravi Saw

      Thanks brother, keep visiting S2B

  2. विजय पाल

    Nyc bhai

    Helpful information ???

    1. Ravi Saw

      Thanks brother, keep visiting

  3. Divyanshu

    Nice And koushik gope is my friend

    1. Ravi Saw

      Yes bro

  4. Divyanshu

    Very Good bro Keep it up

    1. अच्छी बात

      Thanks dear

  5. Sant Lal

    बहुत ही अच्छी जानकारी दी है आपने बैकलिंक के बारे में