Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Jaise hum Google me search karke koi information hasil karte hai waise ek blog me hum khud ka Google search engine laga kar bhi apne blog par aane wale visitors ko ek platform de sakte hai ki wo apne topic ko hamare blog par search kar sake.

Agar aapne apne blog par search box lagaya hua hai to aapke blog me jab bhi koi search box ke jariye kuch search karega to usay aapke blog ka hi search result dikhaya jayega. Jissay aapke blog par aane wale visitors ko article search karne me koi problem nahi hogi or wo easily apne topic ko aapke blog par search kar sakta hai.

Apne blog par Google search box lagane ke bhi bahut se fayde hai, Jaise –

  • Koi bhi search box ke jariye aapke blog ko easily navigate kar sakta hai, or directly wo article search kar sakte ho jo usay read karni ho.
  • Agar aap apne blog par Google search box lagate ho to aapke blog ka google search rank improve hota hai. Jab bhi koi search box par kuch search kart hai to usay aapka blog ka post dikhta hai jo ki google ke server me save hota hai jissay aapke blog post ki ranking improve hoti hai.

To friends ab aapko clear ho gaya hoga ki apne blog par search box lagane se kya hota hai, to chaliye ab hum aapko batate hai ki apne blog me search box kaise add kare..

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Agar aapne apne blog WordPress ya fir blogger me banaye hai to aaj hum aapko batayenge ki –

  • Kaise blogger blog me Google search widget add kare ?
  • Kaise blogger blog me custom Google search box add kare ?
  • Kaise WordPress blog me custom Google search box add kare ?

To chaliye sabse pehle hum aapko batate hai ki kaise blogger blog me Google search widget add kare ?

Blogger blog me Google search widget kaise add kare ?

Sabse pehle blogger.com me login kare. Layout par click kare or jaha par aapk search box add karna hai waha par Add a Gadget par click kare. Add a Gadget par click karte hi ek popup window open hoga waha par aapo Blog Search par click karna hai.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Blog Search par click karne ke bad.. Ek window open hoga waha pe aapko Save par click karna hai.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Save par click karte hai aapke blog me Search box create ho jayega.. Aap pane blog ko check kare.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Aap dekh sakte ho ki aapke blog me Google Search box create ho gaya hai. Lekin agar aap pane blog par custom Google search box lagana chahte ho to niche ke guide ko follow kare. Custom Google search box laga ke hum apne search box ko alag look de sakte hai, jaise – search box ka background color change kar sakte hai, border color change kar sakte hai etc..

Custom Google Search box kaise create kare ?

Search box ka matlab hota hai ki aisa search box jisme sirf ek website ya blog ka search result hi show honge.. To chaliye jante hai ki kaise apne blog ke liye custom Google search box banaye..

STEP – 1

Sabse pehle Google Search Engine ki website me jaye or sign in kare. Sign in karne ke liye aap apna gmail id or password use kare.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Iske bad Add par click kare.

STEP – 2

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

1. Yaha apne blog ka url dale.
2. Apne blog ka language select kare.
3. Apne blog ka naam likhe.
4. Create par click kare.

STEP – 3

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Control Panel par click kare.

STEP – 4

Control Panel par click karne ke bad ek window open hoga waha pe Look and Feel par click kijiye, or apne hisab se search box ko customize kijiye. Customize karne ke bad Save and Get code par click kijiye.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

STEP – 3

Yaha aapko code ko copy karna hai or apne blog me lagana hai.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Aap is code ko apne WordPress blog or Blogger blog , dono me hi use kar sakte ho. To chaliye aapko batate hai ki kaise Custom Google Search code ko Blogger or WordPress blog me use kare.

Search code ko Blogger blog me kaise use kare

1. Sabse pehle blogger.com me login kare.
2. Layout par click kare.
3. Ab jaha par aapko custom google search code lagana hai waha par Add a Gadget par click kare.
4. Add a Gadget par click karte hi ek popup window open hoga waha par HTML/JavaScript par click kare or apne Google search engine code ko paste karke save kare.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

Itna karte hi aapke blog me Google custom search engine box create ho jayega.

Search code ko WordPress Blog me kaise use kare

1. Apne WordPress dashboard me login kare.
2. Appearance >> Widgets me jaye.
3. Ab Custom Html Select kare or jis jagah par Search Box lagana hai usay select kare, iske bad Add Widget par click kare.

Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare

4. Add widget par click karne ke bad apna search code paste kare or save par click kare.

Bas itna hi aapko karna hai , apne blog ko check kar ke dekhe aapka Google custom search box create ho gaya hai.

Note – Agar aapko apne Google custom search box ka look change karna hai to directly aap google search engine ke site me jake customize kar sakte hai, aapko bar-bar search code change karne ke jarurat nahi.

To friends aaj ka hamara article Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare, aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye. Agar aapko Google Search Box apne blog me lagane me koi problem aa rahi hai to aap humse comment ke jariye bataye taki hum aapki problem solve kar sakte. HAPPY BLOGGING

6 thoughts on “Apne Blog Me Google Search Box Kaise Add Kare”

  1. Me apne blog me jo theme use kar rahi hu isme search box add karne ka option hi nahi hai, or me apne theme ko change karne wali thi.. Thanks aapki post ke jariye maine apne blog me search box add kar liye hai ab mujhe theme change karna nahi padega.

    1. Sahi kaha Swati ji aapne, jyadatar blog theme me search box nahi hote aise me aapko search box widget add karna hota hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top